kelke shairs
Na kashti hai na kinara hai koi, na manzil na sahara hai koi,
na ansu hai na kushi ka ishara hai koi, par aap hai to lagta hai hamara hai koi.
ghamo main rehte rehte,
khushi ka tarana bhool gaye,
teri yaad main aansu bahate bahate,
hum muskurana bhool gaye.
Kabhi to ki hogi suraj ne chand se mahobbat,
Tabhi to chaand me daag hai,,,
Mumkin hai, chaand ne ki hogi bewafai,
Tabhi to suraj me itni aag hai !!!!!!!!
Pass aakar sabhi door chale jate hain,
Akele the hum akele reh hi jate hain
Is dil ka dard dikhayein kise
Marham lagane wale hi zakm de jate hain
Jitna tum ko chaaha tha hum nay
Utnaa kisi ko chaah na sakay
Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi
Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay
Honton nay to chupa liye armaan dil ke
Lekin ankhon say chupa na sakay
woh hamare nahi toh kya ghum hai
hum toh unhi ke hain yeh kya kam hai.
na gum kam hain na aansu kam hain
dekhte hain rulane wale mein kitna dam hai